LAKSHYA
Zindagi ki rahoun mein lakshya ko tu banaye ja.
kartavya nibhana hai kadam ko tu badhaye ja.
mushkilen aajaye to meri parchayee saath hai na ghabraye ja.
manzil tujhe hai pani bas tu dattke badhta hi ja.
Rahoun mein rookne waloun ko tu cheer ke nikalta ja.
Hawaiyen gar rah rooke, tu unhien apni rahmein moodta ja.
Dil se tu apne prem kar, saath humbhi hein yeh sooch ke chalta ja.
Kadam kabhi dagmagaye to dil ki baath tu suntha ja.
Andheroun ko cheerte huwe taroun ko rah mein bichaye ja.
Kate kabhi chubhe tu meri hasi ke phool bichaye ja.
Lakshya ko paana hai gar tujhe yeh karm tu karta hi ja.
Kartavya ko nibhana hai kadam ko tu badhaye ja.
Karm nibhana hai sooch kar apnoun ko na bhulata ja
Saath humsab hein anchal bichaye, inke chanvoun me chalta ja
Kamyabi ki unchayoun mein pahounchna hai apna lakshya
Is lakshya ko to drudta se nibhaye ja.
Yehi hai tamanna is dil se tujhe miljaye vo mukaam
Haath uttahi dil se duwa nikalti hai, ke zindagi mein naho kabhi ghum
Saath the aur rahenge sada tere, bus is junoon mein na humein bhoolavo tum
Lakshya tu har kisi ke sapnoun ki hai manzil.
Manzil ko pane se har kisi ko mukaam nahin milta.
Sansen gar chalni hai to dhadkan se rishta banta.
Zindagi ko jeena hai to piyar se hai safal hota.
Last edited by FouziaAnjum on Tue Jul 22, 2008 14:29; edited 1 time in total